Monday 31 March 2014

Om Bol Meri Rasna Ghadi Ghadi


Om bol meri rasna ghadi ghadi - 4

Sakal kaam taj om naam bhaj - 2
Mukh mandal me padi padi
Om bol meri rasna ghadi ghadi - 2

Pal pal per le jana chahti
Pal pal per
Pal pal per le jana chahti
Maut sirahane khadi khadi

Om bol meri rasna ghadi ghadi - 2

Sakal kaam taj om naam bhaj
Sakal kaam taj om naam bhaj
Mukh mandal me padi padi

Om bol meri rasna ghadi ghadi - 4

Om naam hai nij ishwar ka - 2
Kahe ved ki kadi kadi
Om bol meri rasna ghadi ghadi - 2

Sakal kaam taj om naam bhaj - 2
Mukh mandal me padi padi
Om bol meri rasna ghadi ghadi - 2

Brahm roop me dhyan laga le - 2
Om naam ki jhadi jhadi
Om bol meri rasna ghadi ghadi - 2

Sakal kaam taj om naam bhaj - 2
Mukh mandal me padi padi

Om bol meri rasna ghadi ghadi - 4

Shiv Stuti


Karpur gauram, karunavataram
Sansar saram, bhujagendra haram
Sadavsantam, hridayaravinde
Bhavambhavani, sanhitam namamai

Mangalam bhagwan sambhu
Mangalam rishibhadyajah
Mangalam parvatinath
Mangalay tano hari

Om Namah Shivay


Om namah shivay
Shivay
Namah shivay
Om namah shivay
Shivay
Om namah shivay

Teen shabd mein drishti saari
Shrishti saari samay
Om namah shivay
Om namah shivay

Shiv Shnakar Ko Jisne Puja


Shiv Shankar ko jisne puja uska hi uddhar hua
Ant kaal ko Bhawsagar mein uska beda paar hua
Bhole Shankar ki puja karo
Dhayan charno mein iske dharo

Har har mahadev Shiv Shambu

Damro vala hai jag mein dayalu bada
Dindukhiyo ka data jagat ka pita -2

Sab pe karta hai yeh bhola Shankar daya
Sab ko deta hai yeh aashara
In pawan charno mein arpan aakar jo ek baar hua
Ant kaal ko Bhawsagar mein uska beda paar hua
Om namo Shivay namo

Har har mahadev Shiv Shambu

Naam uncha hai sabse Mahadev ka
Vandana iski karte hain sab devta - 2

Iski puja se vardan pate hain sab
Shakti ka daan pate hain sab
Nag asur prani sab par hi bhole ka upkar hua
Ant kaal ko Bhawsagar mein uska beda paar hua
Shiv Shankar ko jisne puja uska hi uddhar hua-2
Ant kaal ko Bhawsagar mein uska beda paar hua
Bhole baba ki puja karo
Dhayan charno mein iske dharo -2

Har har Mahadev Shiv Shambu

Shiv Shankar ko jisne puja uska hi uddhar hua-2
Ant kaal ko bhawsagar mein uska beda paar hua -2

Shankar Mera Pyara


Shankar mera pyara, Shankar mera pyara
Maa ri maa mujhe murat la de
Shiv Shankar ki murat la de
Murat aisi jiske sir se nikanle Ganga ki dhara

Maa ri maa wo damru wala
Tan pe pahne mrig ki chhala
Raat mere sapno me aaya
Aa ke mujhako gale lagaya
Gale laga ke mujhako bola
Mai hoon tera rakhwala

Maa ri maawo mera swami
Mai uske pat ki anugami
Wo hai mera taran hara
Us se mera jag ujiyara
He prabhu mera antrayami
Sab ka hai wo rakhwala

Milta Hai Sachcha Sukh Kewal Shivji


Milta hai sachcha sukh kewal
Shivji thumhare charno me
Yh binti hai palchhin chhinki
rahe dhyan tumhare charno me

Chahe bairi sab sansar bane
chahe jiwan mujh par bhaar bane
Chahe maut gale ka haar bane
rahe dhyan tumhare charno me

Chahe agni me mujhe jalna ho
chahe kanto pe mujhe chalna ho
Chahe chhod ke desh nikalna ho
rahe dhyan tumhare charno me

Milta hai sachcha sukh kewal
Shivji thumhare charno me
Yh binti hai palchhin chhinki
rahe dhyan tumhare charno me

Chahe sankat ne mujhe ghera ho
chahe charo aur andhera ho
Par man nahi dagmag mera ho
rahe dhyan tumhare chaarno me

Milta hai sachcha sukh kewal
Shivji thumhare charno me
Yh binti hai palchhin chhinki
rahe dhyan tumhare charno me

Jivhya par tera naam rahe
tera dhyan subha aur shyam rahe
Teri yaad to aantho yaam rahe
Rahe dhyan tumhare charno me 4

Milta hai sachcha sukh kewal
Shivji thumhare charno me
Yh binti hai palchhin chhinki
rahe dhyan tumhare charno me

chahe bairi sab sansar bane
chahe jeevan mujh par bhar bane
chahe maut gale ka haar bane
rahe dhyan tumhare charno me - 4

Hey shiv Shankar hey karuna kar suniye araj hamari


Hey Shiv Shankar hey karuna kar suniye araj hamari

bhav sagar se paar utaro aaye sharan tihari
hey Shiv Shankar hey karuna kar suniye araj hamari

chandra lalaat bhabhut Ramaye kati pagamber dhare
kar mai damru gale bhujanga nandi thadhe dware
he gangadhar darsh dekha do hey bhole bhandari

hey Shiv Shankar hey karuna kar suniye araj hamari
bhav sagar se paar utaro aaye sharan tihari
hey Shiv Shankar hey karuna kar suniye araj hamari

janam maran ke tum ho swami hey Sankar avinashi
kan kan mai hai roop tumhara hey bhole kailashi
charan sharan mai aaya jogi rakhiyo laaj hamari

hey Shiv Shankar hey karuna kar suniye araj hamari
bhav sagar se paar utaro aaye sharan tihari
hey Shiv Shankar hey karuna kar suniye araj hamari

Har har har Mahadev
Shiv Shankar Adi Dev

Parmeshvar Akhileshvar
Tandav Priye Shashishesvar
Har har har Mahadev
Shiv Shankar Adi Dev

Vishvadhaar Vishvanath
Gangadhar Dheernath
Har har har Mahadev
Shiv Shankar Adi Dev

Jatajoot Chandradhari
Deenan Ke Hitkari
Har har har Mahadev
Shiv Shankar Adi Dev

Gauri pati Nandieshwar
Shaleshwar Jagadeeshwar
Har har har Mahadev
Shiv Shankar Adi Dev

Tera Pal Pal Bita Jaye


Tera pal pal bita jaye re
Mukh se jap le namah shivaye - 2

Om namah shivaye - 6

Shiv shiv tum hriday se bolo
Mann mandir ka parda kholo - 2

Avsar khali na jaye mukh se
Jap le namah shivaye

Tera avsar khali na jaye mukh se
Jap le namah shivaye

Tera pal pal bita jaye re
Mukh se jap le namah shivaye

Om namah shivaye - 6

Ye duniya panchhi ka mela
Samjho udd jana hai akela
Ye duniya panchhi ka mela
samjho udd jana hai akela

Tan mann saath na jaye
Mukh se jap le namah shivaye
Tera tan mann saath na jaye
Mukh se jap le namah shivaye

Tera pal pal bita jaye re
Mukh se jap le namah shivaye

Om namah shivaye - 6

Mushafiri jab poori hogi
Chalne ki majboori hogi
Mushafiri jab poori hogi
Chalne ki majboori hogi

Pinjada pran rah jaye
mukh se jap le namah shivaye
Tera pinjara pran rah jaye
Mukh se jap le namah shivaye

Tera pal pal bita jaye re
Mukh se jap le namah shivaye

Om namah shivaye - 6

Shiv poojan me mast bane ja
Bhakti sudha raspaan kiye ja
Shiv poojan me mast bane ja
Bhakti sudha raspaan kiye ja

Darshan vishvanaath ke paye
Mukh se jap le namah shivaye
Darshan vishvanaath ke paye
Mukh se jap le namah shivaye

Tera pal pal bita jaye
Mukh se jap le namah shivaye

Om namah shivaye - 6

Maha Shiv Ratri Aayi Sukho Ki Ratri Aayi


Maha Shiv ratri aayi sukho ki ratri aayi
Magan man dole re kaho bum bhole re
Babam bum bhole re bum bum bhole re.

Jo bhole ka jaap kare paap ka pashchatap kare - 2
Dhuk se shuk ka milap kare - 2

Bhed yeh khole re kaho bum bhole re
Babam bum bhole re bum bum bhole re.

Shivratri ka vrat rakhe jo teeno praher jo puje inko - 2
Shub ashish ye dete usko - 2
Madhu ras gole re kaho bum bhole re
Babam bum bhole re bum bum bhole re.

Maha Shiv ratri aayi sukho ki ratri aayi
Magan man dole re kaho bum bhole re
Babam bum bhole re bum bum bhole re

Shankar Bhole Bhale


Lalat pe hai chandrama
Jata mein gangdhar hai
Rami hai bhashm ang pe
Gale mein sharp har hai
Nava rahe hai sheesh devgan tumari bhakti mein
Hai koti surya ka prakash he shiv tumhari shakti mein

Shankar bhole bhale
Shail bihari tripurari
Teri leela prabhu sabse hai nyari - 2

Sab devo me maha dev tum
Tujh sa koi na dooja - 2

Bhakti bhav se sab karte hai
Bhagwan teri pooja
Bhagwan teri pooja

Shiv ji tera to hai
Shiv ji tera to hai roop nirala
Bhola bhala
Teri chhavi pe hai
Sabhi balihari

Shankar bhole bhale
Shail bihari tripurari
Teri leela prabhu sabse hai nyari

Sagar math ke sabhi devta amrit par lachaye - 2
Tum abhyankar vish ko peekar neel kanth kahlaye -2
Neel kanth kahlaye

Jo bhi aaya shambhu
Jo bhi aaya sambhu sharan tihari
Dukhhaari

Uski naiya tumne paar utari
Uski naiya tumne paar utari

Shankar bhole bhale
Shail bihari tripurari
Teri leela prabhu sabse hai nyari

Hey shiv shankar jaha bhi tera dam dam damru baje
Hey shiv shankar hey pralaynkar
Hey shiv shankar hey shiv shankar hey pralaynkar
Hey shiv shankar jaha bhi tera dam dam damru baje
Dhar ke na na roop tere gan sang sang tere naache
Sang sang tere naache

Tera kisi ne bhi bhed na paya kaisi maya - 2
Bhaye tujhe to nandi ki savari - 2

Shankar bhole bhale
Shail bihari tripurari
Teri leela prabhu sabse hai nyari

Aao Mahima Gaye BholeNath Ki


Aao mahima gaye bholenath ki
Bhakti me kho jaye bholenath ki - 2

Bholenath ki jai shambhu nath ki jai
Gauri naath ki jai dina naath ki jai

Aao mahima gaye bholenath ki
Bhakti me kho jaye bholenath ki

Mukh par tej hai ang bhabhuti gale sarp ki maala
Mathe chandrama jata me ganga
Shiv ka roop nirala antaryami sabka swami
Antaryami sabka swami bhakto ka rakhwala
Teeno lok me baat rahe hai ye din rata ujala

Jai bolo jai bolo bholenath ki
Bhakti me kho jaye bholenath ki

Bholenath ki jai
Shambhu nath ki jai
Gauri naath ki jai
dina naath ki jai

Aao mahima gaye bholenath ki
Bhakti me kho jaye bholenath ki

Hari om namah shivay namah - 4

Pee ke bhang tarang me jab jab bhola shankar aaye
Haath me apne damru lekar naache aur nachaye
Jobhi shraddha aur bhakti ki
Jobhi shraddha aur bhakti ki mann me jyot jalaye

Mera bhola shankar uspar apna pyar lutaye

Jai bolo jai bolo
Bhakti me kho jaye bholenath ki

Bholenath ki jai
Shambhu nath ki jai
Gauri naath ki jai
Dina naath ki jai

Aao mahima gaye bholenath ki
Bhakti me kho jaye bholenath ki - 3

Paar lagaye shiv bhole
Bigdi banaye shiv bhole
Kasht nivare shiv bhole
Dukh door kare shiv bhole

Jai bolo deena naath ki
Jai bolo gauri naath ki
Jai bolo badri naath ki
Jai bolo shambhu naath ki

Hai sabse nayare shiv bhole
Hai sabse pyaare shiv bhole
Hai damru wale shiv bhole
Bhole bhandari shiv bhole

Jai bolo deena naath ki
Jai bolo gauri naath ki
Jai bolo badri naath ki
Jai bolo shambhu naath ki
Paar lagaye shiv bhole
Bigdi banaye shiv bhole
Kasht nivare shiv bhole
Dukh door kare shiv bhole

Shiv amritvaani


Kalp karo punya atma prem sudha Shiv naam
Hit karak sanjivani Shiv chintan aviraam
Patit pawan jaise madhu Shiv rasna ke ghol
Bhakti ke hansa hi chuge moti ye anmol
Jaise tanik suhaga sone chamkaye
Shiv sumiran se atma adhbhut nikhari jaye
Jiase chandan vriksh ko dashte nahi hai naag
Shiv bhakto ke chole ko kabhi lage na daag

Om namah Shivay om namah Shivay

Daya nidhi bhuteshwar Shiv hai chatur sujan
Kan kan bheetar hai base neel kanth bhagwan
Chandra chood ke trinetra uma pati vishvashe
Sharnaghat ke ye sada kaate sakal klesh
Shiv dware prapanch ka chal nahi sakta khel
Aag aur pani ka jaise hota nahi hai mail
Bhaya bhanjan natraj hai damru wale naath
Shiv ka vandhan jo kare Shiv hai unke saath

Om namah Shivay om namah Shivay

Lakho ashvamedh ho sou ganga snan
Inse uttam hai kahi Shiv charno ka dhyan
Alakh niranjan naad se upje aatma gyan
Bhatke ko rasta mile mushkil ho aasan
Aamar guno ki khan hai chit shudhi Shiv jaap
Satsangatee me baith kar karlo pashchatap
Lingeshwar ke manan se sidh ho jate karya
Namah Shivaya ratata ja Shiv rakhenge laaj

Om namah Shivay om namah Shivay

Shiv charno ko chhune se tan man pawan hoye
Shiv ke roop anup ki samta kare na koi
Maha bali maha dev hai maha prabhu maha kaya
Asurankhandan bhakt ki peeda hare tatkal
Sharva vyapi Shiv bhola dharm roop sukh karya
Amar ananta bhagwanta jag ke palan haar
Shiv karta sansar ke Shiv shristi ke mool
Rom rom Shiv ramne do Shiv na jayio bhool

Om namah Shivay om namah Shivay
Om namah Shivay om namah Shivay
Om namah Shivay om namah Shivay

Prabhu Mere Man Ko Bana De Shivala


Baba bhole baba bhole bhandari aaye dar pe tere pujari
Jai someshwar - 2 jai kailashi jai abhilashi

Prabhu mere man ko bana de shivala
Tere nam ki japu roj mala - 2
Ab toh manokamna hai yeh meri - 2
Jidhar dekhu aaye nazar damru wala
Prabhu mere mann ko bana de shivala
Tere nam ki mai japu roj mala

Bhole nath bhole baba
Jai parmeshwar jai gangadhar
Jai bam bhole jai

Kahi aur kyon dhundhane tujhko jaun - 2
Prabhu man ke bhitar hi main tujhko paun - 2
Yeh man ka shivala ho sabse nirala
Jidhar dekhu aaye nazar damru wala
Prabhu mere man ko bana de shivala
Tere naam ki mai japu roj maala

Baba bhole baba bhole bhandaari aaye darr pe tere pujari

Jai upkari jai dukhranjan jai triloki jai natraji
Bhakti pe apani hai vishwaa mujhko - 2
Banayega charnon ka tu daas mujhko - 2
Main tujhase judaa ab nahi rehne wala
Jidhar dekhu aaye nazar damru wala

Prabhu mere man ko bana de shivala
Tere nam ki japu roj mala

Bhole naath bhole baba
Jai jai swami antaryaami onkaareshwar jai tripurari
Tu darpan sa ujala mere man ko kar de - 2
Tu apana ujala mere man mein bhar de - 2
Hai charon dishaon mein tera ujala
Jidhar dekhu aaye nazar damru wala

Prabhu mere man ko bana de shivala
Tere nam ki japu roj mala - 2
Ab toh manokaamna hai yeh meri - 2
Jidhar dekhu aaye nazar damru wala

Prabhu mere man ko bana de shivala
Tere nam ki japu roj mala

Ek Aankh Mein Suraj Sadha Ek Aankh Mein Chandrama Adha


Ek aankh mein suraj sadha
Ek mein chandrama aadha - 2

Do aankhon mein sadh li tune is jag ki maryada
O mere bhole baaba o shankar bhole baaba - 2

Om namah shivaay - 4

Koi na jane is duniya ka kab tune nirman kiya
Hey srishti karta kab tune jeevan ka vardan diya
Na koi samajha hai yeh ab tak na samjhega baba
O mere bhole baba o shankar bhole baba - 2

Om namah shivaay - 4

Hum prani hai khel khilaune tu chahe jaise khele
Teri kripa se lage huye hai yeh jeevan ke mele
Kaise chale hum sidhe path pe tu hamko batala ja
O mere bhole baba o shankar bhole baba - 2

Om namah shivaay - 4

Man Mera Mandir Shiv Meri Puja


Satya hai ishwar shiv hai jeewan
Sundar ye sansar hai teeno lok hai tujhme teri
Maya apram par hai

Om namah shivaye namo..om namah shivaye namo..

Man mera mandir shiv meri pooja
Man mera mandir shiv meri pooja
Shiv se bada nahi koi duja

Bol satyam shivam bol tu sundaram
man mere shiv ki mahima ke gun gaye ja
Man mera mandir shiv meri pooja

Parvati jab sita bankar jai shri ram ke sammukh aai
Ram ne unko mata kahkar shiv shankar ki mahima gaai
Shiv bhakti mein sab kuchh sujha shiv se bada nahi koi duja

Bol satyam shivam bol tu sundaram
man mere shiv ki mahima ke gun gaye ja
Man mera mandir shiv meri pooja

Teri jata se nikli ganga aur ganga ne bhishm diya hai
Tere bhakto ki shakti ne sare jagat ko jeet liya hai
Tujhako sab devo ne puja shiv se bada nahi koi duja

Bol satyam shivam bol tu sundaram
man mere shiv ki mahima ke gun gaye ja
Man mera mandir shiv meri pooja
Shiv se bada nahi koi duja

Shiv Mahamrityunjaya Mantra


Shiv Mahamrityunjaya Mantra
Om Trayambakam Yajamahe
Sugandhim Pushti Vardhanam
Urvarukamiva Bandhanat
Mrutyor Mukshiya Mamrutat

Saturday 29 March 2014

Om Bol Meri Rasna Ghadi Ghadi


Om bol meri rasna ghadi ghadi - 4

Sakal kaam taj om naam bhaj - 2
Mukh mandal me padi padi
Om bol meri rasna ghadi ghadi - 2

Pal pal per le jana chahti
Pal pal per
Pal pal per le jana chahti
Maut sirahane khadi khadi

Om bol meri rasna ghadi ghadi - 2

Sakal kaam taj om naam bhaj
Sakal kaam taj om naam bhaj
Mukh mandal me padi padi

Om bol meri rasna ghadi ghadi - 4

Om naam hai nij ishwar ka - 2
Kahe ved ki kadi kadi
Om bol meri rasna ghadi ghadi - 2

Sakal kaam taj om naam bhaj - 2
Mukh mandal me padi padi
Om bol meri rasna ghadi ghadi - 2

Brahm roop me dhyan laga le - 2
Om naam ki jhadi jhadi
Om bol meri rasna ghadi ghadi - 2

Sakal kaam taj om naam bhaj - 2
Mukh mandal me padi padi

Om bol meri rasna ghadi ghadi - 4

Om Namah Shivay


Om namah shivay
Shivay
Namah shivay
Om namah shivay
Shivay
Om namah shivay

Om namah shivay
Shivay
Namah shivay
Om namah shivay
Shivay
Om namah shivay

Teen shabd mein drishti saari
Shrishti saari samay
Om namah shivay
Om namah shivay

Parvat parvat kyon chadhe
Nadi paar kyon jaaye
Parvat parvat kyon chadhe
Nadi paar kyon jaaye
Jo milna yahi hai
Jin khoje vahi paaye
Om namah shivay
Om namah shivay

Har sapna ek saap hai
Man se lipta jaye
Har sapna ek saap hai
Man se lipta jaye
Vish amrit kabhi na bane
Kahe jatan lagaye
Om namah shivay

Shukh ki dapli roye hai
Dukh ki banshi gaye
Shukh ki dapli roye hai
Dukh ki banshi gaye
Bhakti mein shakti itni hai
Dwar swayam khul jaye
Om namah shivay
Om namah shivay

Teen shabd mein drishti saari
Shrishti saari samay
Om namah shivay
Om namah shivay
Namah shivay